maktab kī āshiqī bhī tārīḳh-e-zindagī thī
fāzil thā ghar se majnūñ lailā paḌhī likhī thī
farhād jaan degā shīrīñ tabāh hogī
ye to ḳhudā ke ghar se goyā kahī badī thī
qudrat ke dā.ere meñ us vaqt but bane the
jab ne.amat-e-takallum taqsīm ho chukī thī
ka.abe meñ ham ne jā ke kuchh aur haal dekhā
jab but-kade meñ pahuñche sūrat hī dūsrī thī
mātam meñ mere 'muztar' vo kis adā se aayā
āñkhoñ meñ kuchh namī thī hoñToñ pe kuchh hañsī thī