parda-e-dard meñ ārām baTā karte haiñ
us kī dargāh meñ in.aam baTā karte haiñ
bāb-e-sāqī pe ilāhī mirā sūraj Duube
shaam hote hī jahāñ jaam baTā karte haiñ
us ke dar par mujhe ai gardish-e-qismat le chal
sab nikammoñ ko jahāñ kaam baTā karte haiñ
pyaas meñ dīda-e-darvesh ne ta.alīm ye dī
mai-kade jaao jahāñ jaam baTā karte haiñ
dil-e-muztar ko tasallī vahī degā 'muztar'
jis kī dargāh meñ ārām baTā karte haiñ