jaan ye kah ke but-e-hosh-rubā ne le lī
koī pūchhe to ye kahnā ki ḳhudā ne le lī
gul-e-maqsūd meñ avval to mahak thī hī nahīñ
aur jo thī bhī vo hasrat kī havā ne le lī
sab se pahle to siyāhī mirī qismat ko milī
jo bachī thī vo tirī zulf-e-dotā ne le lī
jaan kambaḳht mohabbat meñ bachā.e na bachī
but-e-kāfir se jo chhūTī to ḳhudā ne le lī
dam-e-āḳhir but-e-bedard kā dāman chhūTā
mere hāthoñ se baḌī chiiz ḳhudā ne le lī
chal basī jaan to is baat kā ġham kyā 'muztar'
ik amānat thī ḳhudā kī so ḳhudā ne le lī