mohabbat ibtidā meñ kuchh nahīñ ma.alūm hotī hai
magar phir dushman-e-īmān-o-dīñ ma.alūm hotī hai
vajūd-e-zāt aks-e-ālam-e-hastī se hai sābit
tirī sūrat hī sūrat-āfrīñ ma.alūm hotī hai
maiñ milnā chāhtā huuñ tujh se aise tuur par jā kar
jahāñ terī tajallī bhī nahīñ ma.alūm hotī hai
ga.e ham dair se ka.abe magar ye kah ke phir aa.e
ki terī shakl kuchh achchhī vahīñ ma.alūm hotī hai
tirī barq-e-tajallī ke chalan ham se koī pūchhe
chamaktī hai kahīñ lekin kahīñ ma.alūm hotī hai
tirā e.ajāz-e-qudrat hai ki hastī kī numā.ish meñ
zamāne-bhar ko shakl apnī hasīñ ma.alūm hotī hai
dil-e-'muztar' ḳhudā ke vāste is se kināra kar
mohabbat dushman-e-jān-e-hazīñ ma.alūm hotī hai