zer-e-zamīñ rahūñ ki tah-e-āsmāñ rahūñ
ai justujū-e-yār batā maiñ kahāñ rahūñ
masrūf-e-shukr-e-ne.mat-e-pīr-e-muġhāñ rahūñ
allāh mujh ko yuuñ hī pilā.e jahāñ rahūñ
ghul kar bhī jānib-e-dar-e-pīr-e-muġhāñ rahūñ
mauj-e-sharāb-e-nāb banūñ aur ravāñ rahūñ
yā-rab harīq-e-sho.ala-e-ishq-e-butāñ rahūñ
dozaḳh kī aag le ke muqīm-e-jināñ rahūñ
zālim ye bazm-e-husn kā achchhā rivāj hai
tū sham.a ho ke bhī na jale maiñ tapāñ rahūñ
ai chashm-e-yār maut kā pahlū bachā ke tū
aisī nigāh Daal ki maiñ nīm-jāñ rahūñ
āb-e-hayāt pī ke ḳhizar kyā yahāñ rahe
maiñ Thaan luuñ to kuchh na piyūñ aur yahāñ rahūñ
ban jaa.eñ merī tarz-e-fanā kī kahāniyāñ
aisā miTā ki sāhib-e-nām-o-nishāñ rahūñ
saaqī vo ḳhās-taur kī ta.alīm de mujhe
us mai-kade meñ jā.ūñ to pīr-e-muġhāñ rahūñ
'muztar' vajūd-e-zāt ne ghar tak bhī le liyā
jab ḳhud vo har jagah hai to ab maiñ kahāñ rahūñ