shab-rañg parinde rag-o-reshe meñ utar jaa.eñ
kohsār agar merī jagah hoñ to bikhar jaa.eñ
har samt siyah gard kī chādar sī tanī hai
sūraj ke musāfir bhī idhar aa.eñ to mar jaa.eñ
sab khel havāoñ ke ishāroñ pe hai varna
maujeñ kahāñ muḳhtār ki jī chāhe jidhar jaa.eñ
is dasht meñ paanī ke sivā DhūñDhnā kyā hai
āñkhoñ meñ mirī ret ke sau zā.iqe bhar jaa.eñ
saa.e kī tarah saath hī chaltā hai siyah-baḳht
ab haath kī bechārī lakīreñ bhī kidhar jaa.eñ