chhin ga.ī terī tamannā bhī tamannā.ī se
dil bahalte haiñ kahīñ hausla-afzā.ī se
kaisā raushan thā tirā niind meñ Duubā chehra
jaise ubhrā ho kisī ḳhvāb kī gahrā.ī se
vahī āshufta-mizājī vahī ḳhushiyāñ vahī ġham
ishq kā kaam liyā ham ne shanāsā.ī se
na kabhī aañkh bhar aa.ī na tirā naam liyā
bach ke chalte rahe har kūcha-e-rusvā.ī se
hijr ke dam se salāmat hai tire vasl kī aas
tar-o-tāza hai ḳhushī ġham kī tavānā.ī se
khil ke murjhā bhī ga.e fasl-e-mulāqāt ke phuul
ham hī fāriġh na hue mausam-e-tanhā.ī se