Ahmad Mushtaq

zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
zulf dekhī vo dhuāñ-dhār vo chehrā dekhā
sach batā dekhne vaale use kaisā dekhā
raat saarī kisī TuuTī huī kashtī meñ kaTī
aañkh bistar pe khulī ḳhvāb meñ dariyā dekhā
zard galiyoñ meñ khule sabz darīche jin meñ
dhuup lipTī rahī aur saa.e ko jaltā dekhā
kaale kamroñ meñ kaTī saarī javānī us kī
jis ne ai sub.h-e-mohabbat tirā rastā dekhā
sunte rahte the ki yuuñ hogā vo aisā hogā
lekin us ko to kisī aur tarah kā dekhā
Top Urdushayar.com