Ahmad Mushtaq

mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
mil hī jā.egā kabhī dil ko yaqīñ rahtā hai
vo isī shahr kī galiyoñ meñ kahīñ rahtā hai
jis kī sāñsoñ se mahakte the dar-o-bām tire
ai makāñ bol kahāñ ab vo makīñ rahtā hai
ik zamāna thā ki sab ek jagah rahte the
aur ab koī kahīñ koī kahīñ rahtā hai
roz milne pe bhī lagtā thā ki jug biit ga.e
ishq meñ vaqt kā ehsās nahīñ rahtā hai
dil fasurda to huā dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javāñ kaun hasīñ rahtā hai
Top Urdushayar.com