safar nayā thā na koī nayā musāfir thā
vahī talab thī vahī āshnā musāfir thā
dayār-e-dard kī pur-haul rahguzāroñ meñ
tirā ḳhayāl koī dūsrā musāfir thā
jo dekhtā huuñ to dīvār-e-ā.ina ke udhar
mirī hī shakl kā ik be-navā musāfir thā
nazar milī thī ghaḌī bhar ko phir milā na kabhī
na jaane kaun thā kis des kā musāfir thā