Ahmad Mushtaq

shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933

shabnam ko ret phuul ko kāñTā banā diyā

ham ne to apne baaġh ko sahrā banā diyā

is uuñch niich par to Thaharte nahīñ the paañv

kis dast-e-shauq ne ise duniyā banā diyā

kin muTThiyoñ ne biij bikhere zamīn par

kin bārishoñ ne is ko tamāshā banā diyā

sairāb kar diyā tirī mauj-e-ḳhirām ne

rakkhā jahāñ qadam vahāñ dariyā banā diyā

ik raat chāñdnī mire bistar pe aa.ī thī

maiñ ne tarāsh kar tirā chehra banā diyā

pūchhe agar koī to use kyā batāoñ maiñ

dil kyā thaa, tere ġham ne ise kyā banā diyā

Top Urdushayar.com