Aftab Ahmad

umr-e-rafta main tere hath bhi kya aaya hun

Aftab Ahmad

umr-e-rafta maiñ tire haath bhī kyā aayā huuñ
din bitāne the magar ḳhud ko bitā aayā huuñ
dhuul bhī aise qarīne se uḌaa.ī hai ki maiñ
ek marte hue raste ko bachā aayā huuñ
kal ko de ā.ūñgā jā kar use bīnā.ī bhī
aañkh dīvār pe filhāl banā aayā huuñ
vādī-e-saut nahīñ mujh ko bhulāne vaalī
naqsh yuuñ kar ke vahāñ apnī sadā aayā huuñ
sirf paañv hī nahīñ qaid se bāhar aa.e
apnī zanjīr ko bhī kar ke rihā aayā huuñ
apne aañsū bhī kiye nazr kisī paanī ke
pyaas dariyā kī bahar-taur bujhā aayā huuñ
zindagī tū bhī bahut yaad karegī mujh ko
tere hisse ke bhī dukh-dard uThā aayā huuñ
ab pareshāñ huuñ ki tābīr kā jaane kyā ho
band kānoñ ko nayā ḳhvāb sunā aayā huuñ
jaane kis ghaaT lage umr kī kashtī 'ahmad'
ḳhud ko sūkhe hue dariyā meñ bahā aayā huuñ
Top Urdushayar.com