Aftab Ahmad

ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya

Aftab Ahmad

ye reg-e-ravāñ yād-dahānī to nahīñ kyā
sahrā kisī dariyā kī nishānī to nahīñ kyā
dekho mirā kirdār kahīñ par bhī nahīñ hai
dekho ye koī aur kahānī to nahīñ kyā
raushan hai nayā aks sar-e-chashm-e-tamāsha
biite hue manzar kī ravānī to nahīñ kyā
is ghar ke dar-o-bām bhī apne nahīñ lagte
qismat meñ na.ī naql-e-makānī to nahīñ kyā
ḳhvāboñ pe paḌī os kā matlab to yahī hai
ashkoñ ke jo sho.ale vo the paanī to nahīñ kyā
maiñ misra-e-ūlā huuñ to ā.īne meñ sāhab
jo aks hai vo misra-e-sānī to nahīñ kyā
pūchhūñgā kisī roz charāġhoñ se maiñ 'ahmad'
ye lau koī paiġhām zabānī to nahīñ kyā
Top Urdushayar.com