mumkin hai shai vahī ho magar hū-ba-hū na ho
reg-e-ravāñ bhī dekh kahīñ aabjū na ho
qaa.em isī tazād ke dam se hai kā.enāt
maiñ aarzū huuñ jis kī mirī aarzū na ho
manzar badal badal ke bhī dekhā hai bārhā
jo zaḳhm ab hai aañkh pe shāyad rafū na ho
sahtā rahā huuñ ek tasalsul se is liye
ye TūT-phūT hī mirī vaj.h-e-numū na ho
maiñ ḳhud hī bujhne lagtā huuñ jalte hue charāġh
jis roz terī lau se mirī guftugū na ho
dekho badal ke zāviya apnī nigāh kā
jo rū-ba-rū nahīñ hai vahī rū-ba-rū na ho
mere vajūd se hai ye duniyā-e-rañg-o-bū
lekin mirā jahān faqat rañg-o-bū na ho
mushkil mirī hadoñ kā ta.ayyun hai 'āftāb'
vo raushnī bhī kyā hai ki jo chaar sū na ho