Aftab Ahmad

kisi nishan se alamat se ya sanad se na ho

Aftab Ahmad

kisī nishāñ se alāmat se yā sanad se na ho
agar maiñ huuñ to ye honā bhī ḳhāl-o-ḳhad se na ho
maiñ ek aise zamāne meñ basnā chāhtā huuñ
zamāna jis kā ta.alluq azal abad se na ho
mire adū vo haqīqat bhī kyā haqīqat hai
subūt jis kā mayassar usī ke rad se na ho
isī liye to maiñ rakhtā huuñ ḳhushbuoñ sā mizāj
maiñ chāhtā huuñ ki merā shumār had se na ho
banāne vaalā huuñ hāthoñ se apne fardā kā
vo zā.icha jo lakīroñ se yā adad se na ho
vajūd vāhima hai ai badan-nazhād samajh
ye terā saaya bhī shāyad tire jasad se na ho
maiñ apnā aap usī ke supurd kar dūñgā
ik aisā shaḳhs jo amboh-e-nek-o-bad se na ho
Top Urdushayar.com