khulī āñkhoñ meñ dar aane se pahle
nazar aao nazar aane se pahle
nahīñ thā mujh ko zo.am-e-pārsā.ī
koī ilzām sar aane se pahle
hameñ dar-pesh thī naql-e-makānī
tirā hukm-e-safar aane se pahle
gale miltī hai mujh se be-gharī bhī
galī meñ roz ghar aane se pahle
huā karte haiñ raste bhī rukāvaT
guzar jā rahguzar aane se pahle
nazar-andāz kar detī thī āñkheñ
mujhe tujh sā nazar aane se pahle
bahut āsān thā kār-e-hunar bhī
mire hāthoñ hunar aane se pahle
kabhī to bār-var ho jaa.e 'ahmad'
duā bāb-e-asar aane se pahle