Ahsan Rizvi Danapuri

jidhar se wadi-e-hairat mein hum guzarte hain

Ahsan Rizvi Danapuri

jidhar se vādī-e-hairat meñ ham guzarte haiñ
udhar to ahl-e-tamannā bhī kam guzarte haiñ
tire huzūr jo anfās-e-ġham guzarte haiñ
ajab hayāt ke aalam se ham guzarte haiñ
ravāñ hai barq kā sho.ala sahāb-e-rahmat meñ
naqāb Daal ke ahl-e-sitam guzarte haiñ
hayāt rok rahī hai koī qadam na baḌhā.e
ki aaj manzil-e-hastī se ham guzarte haiñ
lalak baḌhā ke faqat chand buuñd barsā ke
ravāñ-davāñ se sahāb-e-karam guzarte haiñ
ta.ajjub un ke liye marg-e-nā-gahānī kā
jo zindagī ke marāhil se kam guzarte haiñ
muḳhālifat hai khulī ab na dostī 'ahsan'
ghuTī ghuTī sī fazāoñ se ham guzarte haiñ
Top Urdushayar.com