ma.āl-e-soz-e-talab thā dil-e-tapāñ mālūm
sitam kī aag bhī hone lagī dhuāñ mālūm
shikasta-pā bhī pahuñch hī ga.e sar-e-manzil
na rāste kī ḳhabar thī na kārvāñ mālūm
shamīm-e-dost baḌhātī hai zindagī lekin
hameñ haqīqat-e-hastī abhī kahāñ mālūm
na jaane fitna-garoñ ne lagā.ī thī kab aag
hameñ to aañch huī us kī nā-gahāñ mālūm
guzar chuke had-e-tūfāñ se moḌ lo kashtī
yahāñ se hote haiñ sāhil ke kuchh nishāñ mālūm
bichhaḌ ke aap se kyā kyā guzar ga.ī dil par
kahūñ kisī se to ho us ko dāstāñ mālūm
ubhar ke kahte haiñ phūloñ se ḳhār-e-ġham 'ahsan'
ki ham na hoñ to na ho rañg-e-gulsitāñ mālūm