Ahmad Husain Mujahid

agar hon goya to phir be-takan bolte hain

Ahmad Husain Mujahid

1961
agar hoñ goyā to phir be-takān bolte haiñ
magar ye log lahū kī zabān bolte haiñ
zamīñ jo paañv ke nīche hai us kā mālik huuñ
pe mere naam pe kitne lagān bolte haiñ
chhupā na qatl mirā ehtiyāt ke bā-vasf
jo us ne chhoḌe nahīñ vo nishān bolte haiñ
zamīñ pe jab koī mazlūm aah bhartā hai
sitāre TūTte haiñ āsmān bolte haiñ
chhupā.e chhupte nahīñ hādse jo guzre hoñ
makīn chup hoñ to 'ahmad' makān bolte haiñ
Top Urdushayar.com