kohsār to kahīñ pe samundar bhī ā.eñge
apnī talāsh meñ na.e manzar bhī ā.eñge
pāmāl rāstoñ se baġhāvat nahīñ gunāh
qadreñ na.ī haiñ to na.e rahbar bhī ā.eñge
sūrat meñ rañg-o-nūr kii, phūloñ kii, ham kahīñ
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar bhī ā.eñge
nāzuk-mizāj dete haiñ har lamha imtihāñ
shīshoñ se jism ke liye patthar bhī ā.eñge
jab jab baḌhegī zulmat-e-ġhārat-gar-e-yaqīñ
āvāz-e-haq pe kaTne na.e sar bhī ā.eñge
badle haiñ husn-o-ishq to aqdār bhī na.ī
le kar na.e javāz sitamgar bhī ā.eñge
mahrūmiyāñ kahīñ to kahīñ par navāzisheñ
kyā ye savāl bar-sar-e-mahshar bhī ā.eñge
aa.e ho shahar-e-zar kī chakā-chaund meñ magar
mahloñ ke saath raah meñ be-ghar bhī ā.eñge
māyūs ho ke johd-e-musalsal na chhoḌnā
zaḳhmoñ ke ba.ad hāthoñ meñ gauhar bhī ā.eñge
haiñ pattharoñ se log hī is shahr-e-sañg meñ
kyā un ke vāste na.e manzar bhī ā.eñge
devī ko munsifī kī milegā qarār tab
jab apnā sar jhukā.e sitamgar bhī ā.eñge
'ḳhālid' tirā vajūd gavārā nahīñ jinheñ
bazm-e-suḳhan meñ kyā vo suḳhnavar bhī ā.eñge