Quaiser Khalid

jo parind KHwahishon ke kabhi hum shikar karte

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
jo parind ḳhvāhishoñ ke kabhī ham shikār karte
na gilā kisī se rahtā na ye dil figār karte
vo ilāhadgī yaqīnan na yuuñ iḳhtiyār karte
jo zarā bhī uns ham se kabhī rakhte, pyaar karte
thī ḳhamoshī-e-salāsil kī bhī shart is liye bhī
kahāñ jā ke hashr barpā tire jāñ-nisār karte
huī is qadar nadāmat hameñ kah ke hāl-e-dil ḳhud
na thā ye hamārā maqsad unheñ sogvār karte
ye fazā-e-be-yaqīñ hī banī rabt meñ tavāzun
na ye rasm-o-rāh rahtī agar e'tibār karte
na amaañ nasīb hotī tumheñ chār-sū kabhī phir
kahīñ ham ravish tumhārī agar iḳhtiyār karte
yahāñ bārish-e-sitam se jo lage the zaḳhm un ko
hue bad-havās aise ki kahāñ shumār karte
na.e āshiqo batāo ye kahāñ kī āshiqī hai
kahīñ jā ke dil luTāte kahīñ jaañ nisār karte
kabhī milte phir na shāyad kisī moḌ par bhī donoñ
isī rāh-e-pur-ḳhatar par agar intizār karte
ye jhijhak rah-e-vafā meñ, ye shikāyat-e-taġhāful
hameñ dhaḌkanoñ meñ paate agar e'tibār karte
kabhī detī ham ko mohlat jo ye gardish-e-zamāna
tire zor-e-tamkanat par to zarūr vaar karte
tirī be-ruḳhī pe sar par na uThāte āsmāñ gar
ye tū hī batā ki kyā phir tire jāñ-nisār karte
yahī dil-lagī tumhārī kisī aah meñ badaltī
jo hamāre zaḳhm ginte, kabhī ġham shumār karte
na the ham yagāna aise ki savāl uThtā koī
unheñ kyā ġharaz thī ham se jo vo intizār karte
hai ye faḳhr jis pe tum ko vo svād-e-raushnī hai
kabhī zulmat-e-zamāñ bhī kahīñ taar taar karte
ye jhijhak, lihāz, rutba, ye hudūd, ye tavāzun
kabhī hāl-e-dil batāte, kabhī e'tibār karte
sar-e-rāh sab utarte, mah-o-āftāb-o-anjum
shab-e-tār jagmagātī agar intizār karte
vo jo thā amal, usī kā radd-e-amal hai 'ḳhālid'
na to vo shikār hote na hameñ shikār karte
Top Urdushayar.com