Quaiser Khalid

hadd-e-fasil to faqat dard ka sahra nikli

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
hadd-e-fāsil to faqat dard kā sahrā niklī
chashm-e-afsurdagī-e-ḳhushk hī dariyā niklī
sū-ba-sū bhaTke nigāhoñ meñ liye us kī sī
ek sūrat bhī kisī dar na darīcha niklī
ham ki mauhūm sī hasrat bhī liye phirte haiñ
kitne haiñ jin kī har ik ḳhvāhish-e-bejā niklī
ik zarā Thes lagī TuuT ga.ī himmat-e-jāñ
āhanī jis ko samajhte the vo shīsha niklī
chiir kar parda-e-zulmat ko nidā-e-ġhaibī
raushnī bāñTne duniyā ko hamesha niklī
roz-o-shab ik na.ī ummīd na.ī sī uljhan
āzmā.ish jise samjhe the natīja niklī
nā-murādī kā hai kohra sā dil-o-zehn pe vo
koī ḳhvāhish sī to niklī hai magar kyā niklī
umr bhar saath rahe yaad tirī dukh ho ki sukh
kyā samajhte the ise ham ye magar kyā niklī
qarya-e-zar meñ milā ye bhī nazāra har sū
dhuup rañgoñ kī liye duḳhtar-e-havvā niklī
Dar chaTakne kī ḳhushī par hī bikharne kā huā
bū-e-gul phuuT ke jab ġhuncha-ba-ġhuncha niklī
ḳhvāb yuuñ bhī kabhī tābīr meñ apne na Dhale
zindagī apnī kisī ziist kā hissa niklī
kyā sabab hai ki tulā hai tū miTāne pe hameñ
āsmāñ ek bhī kiyā apnī tamannā niklī
vaqt kā koh-e-girāñ kaaT ke farhād banūñ
kāmrānī isī raste se hamesha niklī
Top Urdushayar.com