vo jo umr bhar meñ kahī ga.ī sar-e-shām-e-hijr likhī ga.ī
vahī dāstān-e-vafā mirī mare hoñT kis liye sī ga.ī
hue qaid jurm-e-vafā pe bhī ki hisār-e-zulm nasīb thā
mirī fard-e-jurm ajiib hai jo mire lahū se likhī ga.ī
ye shu.ūr-e-zīst hai nāseho nahīñ kaam deñgī nasīhateñ
mire shahr-e-ishq tirī binā mirī zaat se hī rakhī ga.ī
na.e naam manzar-e-auj par haiñ na.e hī qisse nisāb meñ
jo shahādatoñ kī thī dāstāñ vahī hāshiye pe rakhī ga.ī
jo paḌhā thā dars-e-nisāb meñ vo nazar na aayā tamām umr
na.e tajrabāt-e-jahāñ liye sar-e-hashr bhī be-kasī ga.ī
kahīñ mil na paa.e vo dām-e-fan the jo zehn-o-dil meñ liye hue
vo amīr-e-shahr vo shahr-e-zar kī vo vahāñ bhī to bebasī ga.ī
vo murād-e-ḳhās jo umr bhar rahī jān-o-dil se azīz-tar
hue ham kabhī jo qarīb-tar to jhijhak hī hoñToñ ko sī ga.ī
na to ḳhvāhisheñ kabhī kam huiiñ na hī aas TuuTī kabhī mirī
thā ajiib rishta yaqīn se mire saath hī muflisī ga.ī