Quaiser Khalid

ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
ye zamān-o-makāñ kā sitam bhī nayā
terā ġham bhī nayā, merā ġham bhī nayā
shoḳhī-e-husn shahroñ meñ yuuñ al-amāñ
saath mausam ke badleñ sanam bhī nayā
maslahat vaqt kī bhej detī hai kyuuñ
har masarrat ke ham-rāh ram bhī nayā
kaun lafzoñ ko detā hai ma.anī na.e
aur mire sher ko pech-o-ḳham bhī nayā
bad-gumānī ne tabdīl mehvar kiye
ka.aba us kā to merā sanam bhī nayā
āfrīñ āfrīñ dushman-e-jāñ mire
terī ījād hai ye sitam bhī nayā
dāvar-e-hashr aajiz huuñ maiñ, tū nahīñ
lauh de ab na.ī aur qalam bhī nayā
mulk-dar-mulk bhaTke, sukūñ kab milā
chāhiye dil ko shahr-e-adam bhī nayā
istilāh-e-jihād aaj badlī hai yuuñ
karbalā hai na.ī aur alam bhī nayā
lamhe lamhe kī tahqīq o ījād se
mil gayā nasl-e-nau ko shikam bhī nayā
har taraf koī jannat hai ab dahr meñ
aur hai bāġhbān-e-iram bhī nayā
mīThī bāteñ, kabhī talḳh lahje ke tiir
dil pe har din hai un kā karam bhī nayā
rūh-e-'jamshed' nādim hai is ahd meñ
ab hai har haath meñ jām-e-jam bhī nayā
hashr lamhe meñ, pal meñ sukūt-e-azal
aah! ye vaqt kā zer-o-bam bhī nayā
shaḳhsiyyat ek hai phir bhī pahlū hazār
us kī bātoñ meñ hotā hai ḳham bhī nayā
laaj 'ḳhālid' kī rakh le ḳhudāyā zarā!
tujh se bāñdhe ye har din bharam bhī nayā
Top Urdushayar.com