tham gayā dard ujālā huā tanhā.ī meñ
barq chamkī hai kahīñ raat kī gahrā.ī meñ
baaġh kā baaġh lahū rañg huā jaatā hai
vaqt masrūf hai kaisī chaman-ārā.ī meñ
shahr vīrān hue bahr bayābān hue
ḳhaak uḌtī hai dar o dasht kī pahnā.ī meñ
ek lamhe meñ bikhar jaatā hai tānā-bānā
aur phir umr guzar jaatī hai yakjā.ī meñ
us tamāshe meñ nahīñ dekhne vaalā koī
is tamāshe ko jo barpā hai tamāshā.ī meñ