galiyāñ haiñ bahut sī abhī dīvār ke aage
sansār mileñge tujhe sansār ke aage
ma.anī kī na.ī sharheñ thiiñ har baat meñ us kī
iqrār se pahle kabhī inkār ke aage
taqdīr jise kahte haiñ duniyā ke mufakkir
zardār ke pīchhe hai to nādār ke aage
in ko bhī samajhnā hai abhī sāhab-e-idrāk
hote haiñ haqā.eq bhī to aḳhbār ke aage
kyā izzat-e-sādāt zarā der na Thahrī
dastār bhī pāzeb kī jhankār ke aage
ab haath qalam hone haiñ kyā guzrī ho socho
jab baat ga.ī hogī ye me.amār ke aage
mahdūd hī hotī hai sadā satvat-e-shamshīr
laanā hai qalam ko tirī talvār ke aage