Quaiser Khalid

aae the kyun sahra mein jugnu ban kar

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
aa.e the kyuuñ sahrā meñ jugnū ban kar
taptī lū meñ halkī sī ḳhushbū ban kar
chalnā, ruknā donoñ meñ barbādī hai
dasht-e-vafā meñ aa.e to ho aahū ban kar
kuchh to ajab hai varna aaj kī duniyā meñ
rahtā kaun hai kis kā ab baazū ban kar
ā.īna-ḳhāna dil kā tab mismār huā
aa.ī haqīqat sāmne jab jaadū ban kar
saarā zamāna sar āñkhoñ par letā hai
rusvā huuñ ghar meñ apne urdu ban kar
kuchh to junūñ ko apne taġhayyur karnā thā
ḳhūn-e-jigar hī bah niklā aañsū ban kar
ruuh meñ bhī kyā utre haiñ ma.anī is ke
yuuñ to sarāpā rahte ho yā-hū ban kar
yuuñ to bayāñ us husn kā karnā thā dushvār
aayā mire ash.ār meñ kuchh pahlū ban kar
kab kar deñ sairāb kisī ko vo, un ke
sar se ghaTā.eñ lipTī haiñ gesū ban kar
un ke ishāre yuuñ bhī qātil haiñ 'ḳhālid'
aur qayāmat hotī hai abrū ban kar
Top Urdushayar.com