Quaiser Khalid

hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
ham zamīñ kā ātishīñ ubhār dekhte rahe
sahme sahme se hī bas ġhubār dekhte rahe
shohrateñ, ye daulateñ, ye masnadeñ, milīñ pa ham
be-niyāz hī rahe, hazār dekhte rahe
āḳhirash zamāna un ko chhoḌ aage baḌh gayā
har qadam jo izzat-o-vaqār dekhte rahe
un ko phir amaañ kahāñ nasīb honī thii, ki jo
har maqām se rah-e-farār dekhte rahe
ek ek kar ke qatl ho rahī thī phir bhī ham
apnī ḳhvāhishoñ kī ik qatār dekhte rahe
hai muhāfiz-e-chaman kā mujrimāna taur ye
nuch ga.ī kalī kalī pa ḳhaar dekhte rahe
sab siyāh thā kahīñ na sab safed, phir bhī ham
lail dekhte rahe, nahār dekhte rahe
bāhar apne ḳhol se na aa sake tamām umr
ham darūn-e-zāt ḳhalfashār dekhte rahe
hausla na kāvisheñ, amal na rabt-e-āsmāñ
ham ki hasratoñ kā ik mazār dekhte rahe
āftāb o kahkashāñ, ye chāñd, taare duur se
raushnī kā bil-yaqīñ madār dekhte rahe
ab gila hai kyuuñ madad kā āsmāñ se, jab ki ham
kāyar aise the ki ḳhud pe vaar dekhte rahe
tere bin hayāt kī soch bhī gunāh thī
ham qarīb-e-jāñ tirā hisār dekhte rahe
dūsroñ ke haq kī vo laḌā.ī laḌ sakeñge kyā
vo jo apne aap ko bhī ḳhvār dekhte rahe
'ḳhālid' aise bhī to haiñ kināre baiTh kar hī jo
bahar meñ chaḌhāv aur utaar dekhte rahe
Top Urdushayar.com