Quaiser Khalid

aaina hun ki main patthar hun ye kab puchhe hai

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
aa.ina huuñ ki maiñ patthar huuñ ye kab pūchhe hai
ziist mujh se mere jiine kā sabab pūchhe hai
munkashif hone lage jab se rumūz-o-asrār
kuchh savāl ab dil-e-ma.asūm ajab pūchhe hai
maqsad-e-zīst, koī ḳhvāb yā ḳhvāhish koii?
ham ne jab sī liye lab apne vo tab pūchhe hai
har koī apnī tag-o-dau meñ hai masrūf yahāñ
kaun ab kis kī udāsī kā sabab pūchhe hai
vahshat-e-dil meñ kamī ho bhī to kyaa, hāl-e-darūñ
aur baḌh jaatī hai kuchh, ham se vo jab pūchhe hai
jis ne barbād kiyā ḳhāna-e-dil rah rah kar
kyā qayāmat hai, vahī is kā sabab pūchhe hai
koī bhī rishta nikaltā nahīñ ham donoñ meñ
phir bhī kyuuñ ham se hamārā vo nasab pūchhe hai
saath guzre the kabhī arsa huaa, mujh se magar
aaj bhī terā patā rāh-e-talab pūchhe hai
ik nidā jis ko samajhte haiñ zamīr apnā sabhī
qabl-e-laġhzish hameñ is shakl meñ rab pūchhe hai
ab ye aalam hai ki ḳhud vahshat-e-dil bhī 'ḳhālid'
ghar mire der se aane kā sabab pūchhe hai
Top Urdushayar.com