hijr-o-visāl ke na.e manzar bhī ā.eñge
ābādiyoñ meñ aa.e to phir ghar bhī ā.eñge
āsāñ nahīñ hai utnī talāsh-e-jahān-e-nau
DhūñDoge gar jazīre samundar bhī ā.eñge
ai vaqt Dar hai tere ḳhudāoñ ko bas yahī
be-nañg-o-nām haiñ jo barābar bhī ā.eñge
duniyā isī kā naam hai har samt hī yahāñ
ban kar yaqīñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge
ai chashm-e-iltifāt ye fōtpath ye saḌak
haiñ muntazir ki in pe qalandar bhī ā.eñge
maujoñ se laḌne dījiye kuchh der vaqt kī
jin meñ hai hausla vo ubhar kar bhī ā.eñge
haiñ naqsh-e-pā jahāñ jahāñ insāñ ke, dekhnā
qadmoñ meñ aadmī ke vo ambar bhī ā.eñge
māyūs yuuñ na bahr-e-adab ho, tū sabr kar
tujh ko ubuur karne shanāvar bhī ā.eñge
nākām sī rifāqateñ le kar kabhī yahāñ
dasht-e-vafā kī sair ko dilbar bhī ā.eñge
aajiz ho aql dekh ke sannā.ī jin kī vo
husn-e-jahāñ ke nit-na.e paikar bhī ā.eñge
tere liye jo vahm hai un ke liye yaqīñ
akasr yahāñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge
badlā huā mizāj hai is baar vaqt kā
lahroñ kī zad meñ ab ke shanāvar bhī ā.eñge
bātoñ se phuul jhaḌte the lekin ḳhabar na thī
ik din laboñ se un ke hī nashtar bhī ā.eñge
Dhāoge tum jo mehvar-e-afkār ko to phir
ye jaan lo ki ġhaib se lashkar bhī ā.eñge
ham vo ḳhudā-taras haiñ faqīrī hai jin kī shaan
yūñhī rahe to dar pe sikandar bhī ā.eñge
kab ishq ruk sakā hai masā.ib se vaqt ke
dīvāne ḳhāk-o-ḳhūñ meñ nahā kar bhī ā.eñge
honī hai ḳhatm un kī bhī mohlat yaqīñ rakho
ye vaqt ke ḳhudā tah-e-ḳhanjar bhī ā.eñge
āfāq se pare hai mirā mehvar-e-ḳhayāl
hai hausla to phir na.e shahpar bhī ā.eñge