Quaiser Khalid

jaan yun libas-e-jism ko nikli utar kar

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
jaañ yuuñ libās-e-jism ko niklī utaar kar
jaise koī sarā.e meñ ik shab guzār kar
hālāt ne libās to melā kiyā magar
kirdār phir bhī rakkhā hai ham ne sañvār kar
me.aar āj-kal to baḌā.ī kā hai yahī
apnī har ek baat ko tū ishtihār kar
gar ho sake to de unheñ ummīd kī kiran
baiThe hoñ zindagānī se apnī jo haar kar
duniyā bahut baḌī hai kahīñ kar talāsh-e-rizq
hālāt kuchh hoñ in pe na ab inhisār kar
ye bhī to hai anā ko kuchalne kā ek taur
nafrat rahī hai jis se usī ko tū pyaar kar
jo zaḳhm dushmanoñ se mile un ko tū na dekh
jo dostoñ ne baḳhshe haiñ un kā shumār kar
ummīd roz ek na.ī le ke jāgiye
nākāmiyoñ ke bojh ko sar se utaar kar
har koī āñsuoñ kī zabāñ jāntā nahīñ
āñkheñ kisī ke sāmne mat ābshār kar
apne nahīñ to aur kisī ke liye bhī jī
'ḳhālid' ravish ik aisī bhī ab iḳhtiyār kar
Top Urdushayar.com