ham na.e haiñ na hai ye kahānī na.ī
saath shartoñ ke hai zindagānī na.ī
kyā gañvā kar milī bahs ye hai fuzūl
āḳhirash mil ga.ī kāmrānī na.ī
bad-mizājī pe mausam kī hairān huuñ
kyuuñ hai dariyāoñ meñ ye ravānī na.ī
chashm-poshī masā.il kī hai is tarah
us ne bātoñ se kī gul-fishānī na.ī
gāmzan dil safar par to sākit qadam
chheḌ dī phir unhoñ ne kahānī na.ī
us kī ḳhushbū meñ shāmil hai terī mahak
aaj laa.ī ḳhabar rāt-rānī na.ī
kis kī chāhat kī tāsīr hai, vaqt ne
us ke paikar meñ rakh dī javānī na.ī
thī lachak jab talak ziist apnī rahī
raas aa.ī na ye saḳht-jānī na.ī
ḳhāmushī se hī un kī chaman jal gayā
hukmarānoñ kī hai pāsbānī na.ī
phūTne ko thī ummīd kī ik kiran
ho ga.ī phir un kī mehrbānī na.ī
baḌhte qadmoñ ko phir se ThiThaknā paḌā
aa.ī phir darmiyāñ bad-gumānī na.ī
vādi-e-gul se mausam kā sautelā-pan
us ke dariyā meñ kyuuñ hai ravānī na.ī
quvvateñ saarī goyā.ī par haiñ muhīt
haiñ zabāneñ vahī lan-tarānī na.ī
saath laa.ī na.e ġham na.ī uljhaneñ
ab nahīñ chāhiye shādmānī na.ī
tāliyāñ har taraf thiiñ ki jab us ne kī
be-zabānī se hī lan-tarānī na.ī
jis ko agle bhī pal kā bharosa nahīñ
us ko bhī chāhiye shādmānī na.ī
aisā lagtā hai 'ḳhālid'-miyāñ chāhiye
is zamīñ ke liye jāñ-fishānī na.ī