Quaiser Khalid

har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
har mauj-e-havādis rakhtī hai siine meñ bhañvar kuchh pinhāñ bhī
rahte haiñ muqābil hī akasr ishkāl bhī dil meñ īmāñ bhī
shahroñ kī chamak ne ā.ankhoñ ko dikhlā.e vo manzar jin ke liye
qadroñ kā taġhayyur kyā kahiye chhoḌ aa.e zamīneñ dahqāñ bhī
har samt laraztī chīḳheñ haiñ jalte hue ġhunchoñ, kaliyoñ kī
pūchhe hai zamīn-e-gul ham se kyā kuchh hai ilāj-e-vīrāñ bhī
taḳhlīq-e-ajā.ib laakh huī fil-asr ye uqda apnī jagah
ik harf-e-vafā kī qāmat par ye ahd rahā hai hairāñ bhī
thī soch ye manafī, lagne lagī musbat bhī jo na.ara ban ke yahāñ
āzādī-e-nisvāñ kah kah kar aurat ko kiyā hai uryāñ bhī
is shahar-e-kasāfat meñ aa kar ojhal hue ā.ankhoñ se manzar
vo gaañv kā sabza vo bahr-o-bar vo dhuup vo barq-o-bārāñ bhī
ik ishq meñ likh likh kar kaaTā har lafz kitāb-e-hastī kā
kar Daalā usī ne zer-o-zabar jo kaam lage thā āsāñ bhī
gardish meñ zamāna hai har pal ummīd pe duniyā hai qaa.em
kal jin se the sahme sahme se ham, haiñ aaj vo larzāñ larzāñ bhī
asrār-e-zamāna ban ban kar aate haiñ yahāñ din raat magar
fitrat ke masā.ib se ab tak haarā hai kahāñ ye insāñ bhī
ho paa.e kisī ke ham bhī kahāñ yuuñ koī hamārā bhī na huā
kab Thahrī kisī ik par bhī nazar kyā chiiz hai shahr-e-ḳhūbāñ bhī
insāñ kā samajhnā hai bāqī, anjām ko pahuñche hai duniyā
ban jaa.e farishta jab chāhe ho jaa.e ye akasr haivāñ bhī
Dartā hai dil-e-kam-fahm yahāñ kyā jāniye kyā ho bastī kā
rahte haiñ ab ahl-e-ulfat ke ham-rāh ye nafrat-sāzāñ bhī
aajiz hai ye insāñ apnī hī sunā.ī pe jab jab ġhaur kare
hai farq numāyāñ har ik meñ phir bhī hai sabhī kuchh yaksāñ bhī
isbāt-e-tafakkur rakhtā hai ham tum meñ tavāzun bhī lekin
rishtoñ par paḌī jab barf-anā kaam aa.e na ahd-o-paimāñ bhī
me.ār-e-adab bhī Thahre sadā ho ahl-e-jahāñ ke lab par bhī
taḳhlīq ġhazal kar aisī ik ho shaad ki jis par yazdāñ bhī
mohtāt banāyā hogā unheñ hālāt ne apne ghar ke hī
ab apne hī ghar meñ rahte haiñ 'ḳhālid' jo ba-shakl-e-mehmāñ bhī
Top Urdushayar.com