Quaiser Khalid

labon ko khol to kaisa bhi ho jawab to de

Quaiser Khalid

Araria, Bihar, India

1971
laboñ ko khol to kaisā bhī ho javāb to de
na baañT sūd-o-ziyāñ ko magar hisāb to de
vafā, ḳhulūs o mohabbat ko phir samajhnā hai
kahāñ likhe haiñ ye alfāz tū kitāb to de
ab is tarah bhī rivāyat se inhirāf na kar
badal agarche tū achchhā na de, ḳharāb to de
ye kyā ki apnī hī raftār par hai vo nāzāñ
kisī ke reñgte qadmoñ ko āb-o-tāb to de
chhalak rahā hai zamāne ke sabr kā pyāla
hamāre ahd ke fir.aun ko azaab to de
tapish ne vaqt kī jhulsā ke un ko rakkhā hai
ḳhizāñ-nasīboñ ko thoḌā sahī shabāb to de
hai iḳhtiyār meñ jitnā tire tū utnā to kar
na mil sake koī ta.abīr, un ko ḳhvāb to de
maiñ terī tañg-nigāhī kī kyā karūñ tāvīl
sulagtī ā.ankhoñ ko paanī na de sarāb to de
yuuñ nasl-e-nau kī zehānat ko mumtahin na parakh
jise paḌhe ye na.ī nasl vo kitāb to de
kisī ko kyā hai ġharaz jo paḌhe tirī rūdād
kare appeal kisī ko vo ek baab to de
taḌap rahī hai zamīñ kab se munsifī ke liye
nabī nahīñ to zamāne ko 'bū-turāb' to de
Top Urdushayar.com