Ahmad Mushtaq

khaDe hain dil mein jo barg-o-samar lagae hue

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
khaḌe haiñ dil meñ jo barg-o-samar lagā.e hue
tumhāre haath ke haiñ ye shajar lagā.e hue
bahut udaas ho tum aur maiñ bhī baiThā huuñ
ga.e dinoñ kī kamar se kamar lagā.e hue
abhī sipāh-e-sitam ḳhema-zan hai chaar taraf
abhī paḌe raho zanjīr-e-dar lagā.e hue
kahāñ kahāñ na ga.e ālam-e-ḳhayāl meñ ham
nazar kisī ke dar-o-bām par lagā.e hue
vo shab ko chiir ke sūraj nikāl bhī laa.e
ham aaj tak haiñ ummīd-e-sahar lagā.e hue
diloñ kī aag jalāo ki ek umr huī
sadā-e-nāla-e-dūd-o-sharar lagā.e hue
Top Urdushayar.com