chhoTī chhoTī bātoñ meñ āñkheñ bhar aatī haiñ
yā to ham thoḌe pāgal haiñ yā jazbātī haiñ
sachchā jhūTā nek aur bad haiñ mere ta.āruf sab
ek hī jism meñ kitnī rūheñ gasht lagātī haiñ
sunā hai us tālāb kā paanī baḌā nashīlā hai
sunā hai us meñ pariyāñ aa kar roz nahātī haiñ
kuchh to dard diye haiñ mujh ko duniyā vāloñ ne
lekin kuchh aise ġham haiñ jo mere zaatī haiñ
is bartan kā mailā paanī amrit jaisā hai
is meñ nannhī chiḌiyāñ aa kar pyaas bujhātī haiñ
aa pahuñchā huuñ tanhā.ī ke aise jañgal meñ
jis meñ ḳhud apnī āvāzeñ lauT ke aatī haiñ
chīḳhtī rahtī haiñ ḳhāmoshī mere hoñToñ par
jis tarah sāhil par lahreñ shor machātī haiñ
shahr meñ aa kar bhī ham apnī miTTī kab bhūle
faḳhr hameñ hai ai 'ḳhālid' ke ham dehātī haiñ