Khalid Akhlaq

ab is qadar bhi to be-abru na samjha jae

Khalid Akhlaq

Badayun, Uttar pradesh, India

1978
ab is qadar bhī to be-ābrū na samjhā jaa.e
ki aarzū ko mirī aarzū na samjhā jaa.e
tumhārī yaad kā har zaḳhm ristā rahtā hai
maiñ be-vuzū huuñ magar bā-vazū na samjhā jaa.e
maiñ apne aap se ḳhalvat meñ baat kartā huuñ
use maraz ai mere chāra-jū na samjhā jaa.e
vo apnā aks agar mujh meñ dekh hī na sake
to aa.ine ko mire rū-ba-rū na samjhā jaa.e
maiñ sirf suntā huuñ aur sirf boltā vo hai
use ḳhudā ke liye guftugū na samjhā jaa.e
ye ek roz koī inqalāb lā.egā
mirā lahū hai use bas lahū na samjhā jaa.e
bhaTak rahā hai agar dil namāz meñ to miyāñ
jo qibla-rū hai use qibla-rū na samjhā jaa.e
Top Urdushayar.com