Khalid Akhlaq

bahbud-o-madad ki wo sanad se nikal aae

Khalid Akhlaq

Badayun, Uttar pradesh, India

1978
bahbūd-o-madad kī vo sanad se nikal aa.e
kuchh peT ġharīboñ kī rasad se nikal aa.e
un ko maiñ khulī āñkhoñ se ab dekh rahā huuñ
kuchh ḳhvāb mirī niiñd kī zad se nikal aa.e
bachpan kī hadeñ toḌ de chal umr ke ham-rāh
ab to tire bachche tere qad se nikal aa.e
rāste meñ zamāne ne bichhā rakkhe the kāñTe
ham apne irādoñ kī madad se nikal aa.e
mat DhūñDh mere dost tabassum mire lab par
ab kaise ye āġhosh-e-lahad se nikal aa.e
'ḳhālid' mire jazbāt kī shiddat meñ kamī thī
aañsū bhī mirī āñkhoñ kī had se nikal aa.e
Top Urdushayar.com