Khalid Akhlaq

shafaq sitare dhanak kahkashan banate hue

Khalid Akhlaq

Badayun, Uttar pradesh, India

1978
shafaq sitāre dhanak kahkashāñ banāte hue
vo is zamīñ pe milā āsmāñ banāte hue
bhaTak na jaa.eñ mire baad aane vaale log
maiñ chal rahā huuñ zamīñ par nishāñ banāte hue
chalo ab un kī bhī bastī meñ phuul baañT aa.eñ
jo thak chuke haiñ ye tīr-o-kamāñ banāte hue
mire vajūd kī rusvā.iyāñ tumhārī qasam
hai dil meñ ḳhauf phir ik rāz-dāñ banāte hue
jalā.e haath tahaffuz meñ varna āñdhī se
charāġh bujh gayā hotā dhuāñ banāte hue
paḌā huā hai vo tārīkiyoñ ke malbe meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ik kahkashāñ banāte hue
yahī ho ajr mire kār-e-ḳhair kā shāyad
akele rah gayā ḳhud kārvāñ banāte hue
zamīñ pe baiTh gayā thak ke do-ghaḌī 'ḳhālid'
amiir logoñ kī vo kursiyāñ banāte haiñ
Top Urdushayar.com