Ahmad Mushtaq

lubhata hai agarche husn-e-dariya Dar raha hun main

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
lubhātā hai agarche husn-e-dariyā Dar rahā huuñ maiñ
sabab ye hai ki ik muddat kināre par rahā huuñ maiñ
ye jhoñke jin se dil meñ tāzgī āñkhoñ meñ ThanDak hai
inhī jhoñkoñ se murjhāyā huā shab bhar rahā huuñ maiñ
tire aane kā din hai tere raste meñ bichhāne ko
chamaktī dhuup meñ saa.e ikaTThe kar rahā huuñ maiñ
koī kamra hai jis ke taaq meñ ik sham.a jaltī hai
añdherī raat hai aur saañs lete Dar rahā huuñ maiñ
mujhe ma.alūm hai ahl-e-vafā par kyā guzartī hai
samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com