ka.ī dinoñ tak jab apne kamre se ham na nikle to log samjhe
kabhī kisī ko bahut satāte haiñ ye ujāle to log samjhe
badal ga.e jab kisī kī ġhurbat meñ aaj raste to log samjhe
thā jaanā schōl kaam par kyoñ ga.e vo bachche to log samjhe
hadaf pe muñh-zor āñdhiy.oñ ke faqat hamāre charāġh kab the
bikhar ga.e jab kisī gharauñde ke saare tinke to log samjhe
koī na maane karāhateñ jab batā rahī thiiñ ki vaqt kam hai
jab un ke kāñdhoñ pe āḳhirī ham safar ko nikle to log samjhe
jo vaqt par hī na kaam aa.eñ to dost kyā haiñ aziiz kyā haiñ
kisī dukāñ par nahīñ chale jab ye khoTe sikke to log samjhe
haiñ bhiiḌ meñ bhī ham aaj tanhā ye ajnabiyyat kī DhūñDh kyā hai
uḌe dhueñ meñ na.e ta.alluq purāne rishte to log samjhe
jise samajhte haiñ shā.irī ham safar musalsal hai ḳhushbuoñ kā
ġhazal kī shāḳhoñ pe ḳhūbsūrat jo shahr mahke to log samjhe
na diin par haiñ amal hamāre na fikr koī samāj kī hai
tarah tarah ke jab aaj ham par azaab utre to log samjhe
ġham-o-ḳhushī bhī to ik nasha hai sambhalnā āsāñ nahīñ hai 'ḳhālid'
binā piye bhī qadam hamāre jo aaj bahke to log samjhe