tire ḳhayāl se dilchaspiyāñ banāte haiñ
varaq pe dil ke chalo titliyāñ banāte haiñ
safar hayāt kā behad hasīn guzregā
anā ko maar ke baisākhiyāñ banāte haiñ
maiñ jāntā huuñ ye dariyā nahīñ hai sahrā hai
to ret par hī chalo machhliyāñ banāte haiñ
uThā hī lī hai jo dīvār tum ne āñgan meñ
to bhaa.ī is meñ chalo khiḌkiyāñ banāte haiñ
khulegā is tarah qismat kā band darvāza
jo kāvishoñ kī agar chābiyāñ banāte haiñ
hamārī raah meñ haa.il huī hai jo 'ḳhālid'
usī chaTān se ab sīḌhiyāñ banāte haiñ