charḳh bhī chhū leñ to jaanā hai isī miTTī meñ
mustaqil apnā Thikānā hai isī miTTī meñ
jin ke dāman pe kabhī chāñd-sitāre chamke
dafan un kā bhī fasāna hai isī miTTī meñ
be-amal haath lagā.e bhī to ḳhālī jaa.e
haañ jafā-kash kā ḳhazāna hai isī miTTī meñ
is tarah chal ki ye pāmāl na hone paa.e
be-ḳhabar aab hai daana hai isī miTTī meñ
ham-vatan ḳhāk-e-vatan kyuuñ na ho pyārī ki hameñ
ba.ad-az-marg bhī jaanā hai isī miTTī meñ
log kal kah ke tujhe yaad kareñge 'aḳhlāq'
shā.ir-e-faḳhr-e-zamāna hai isī miTTī meñ