Akhlaque Bandvi

idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

Akhlaque Bandvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1964
idhar charāġh jal ga.e udhar charāġh jal ga.e
jidhar jidhar uThī tirī nazar charāġh jal ga.e
ye aur baat raat bhar kā tai na kar sake safar
magar ye kam nahīñ ki vaqt par charāġh jal ga.e
havā kā aisā zor thā ki ik balā kā shor thā
isī fazā meñ jo the bā-hunar charāġh jal ga.e
hai baat yuuñ to raat kī magar na ehtiyāt kī
to kyā karoge daf.atan agar charāġh jal ga.e
jo saath sub.h se chale vo saare log din Dhale
usī taraf ko ho liye jidhar charāġh jal ga.e
vo tīrgī kā jaal thā ki ab safar muhāl thā
huā ye tere naam kā asar charāġh jal ga.e
Top Urdushayar.com