Akhlaque Bandvi

wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi

Akhlaque Bandvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1964
vahī hai gardish-e-daurāñ vahī lail-o-nahār ab bhī
rahā kartā hai roz-o-shab kisī kā intizār ab bhī
kabhī din bhar tirī bāteñ kabhī yādoñ bharī rāteñ
tirī furqat meñ jiine ke bahāne haiñ hazār ab bhī
tirā jalva jo pā jaatī chaman meñ jā ke iThlātī
bhikāran ban ke baiThī hai tire dar par bahār ab bhī
ḳhushī har-chand hai taarī ga.ī ġham kī girāñ-bārī
chhalak jaatī haiñ āñkheñ ādatan be-iḳhtiyār ab bhī
hue haiñ muntashir varna sitamgar tum se kyā Darnā
hamārī Thokaroñ meñ hai tumhārā eqtidār ab bhī
agar 'aḳhlāq' se milte mohabbat ke chaman khilte
na bantī bazm-e-yārāñ ek gāh-e-kār-zār ab bhī
Top Urdushayar.com