Ahsan Yusuf Zai

lahar se lahar ka nata kya hai

Ahsan Yusuf Zai

lahar se lahar kā naatā kyā hai
mujh pe ilzām phir aatā kyā hai
boltī aañkh meñ billor kī ruuh
sañg-e-āvāz uThātā kyā hai
roz o shab bech diye haiñ maiñ ne
is bulandī se girātā kyā hai
lākhoñ barsoñ ke safar se hāsil
dekhnā kyā hai dikhātā kyā hai
tiir andhe haiñ shikārī andhā
khel hai khel meñ jaatā kyā hai
Top Urdushayar.com