faujiyoñ ke sar to dushman ke sipāhī le ga.e
haath jo qīmat lagī zill-e-ilāhī le ga.e
jurm merā sirf itnā thā ki maiñ mujrim na thā
qaid tak mujh ko subūt-e-be-gunāhī le ga.e
ab vahī duniyā meñ Thahre amn-e-ālam ke amiiñ
jo amaañ kī jā tak asbāb-e-tabāhī le ga.e
shikva-e-jalva-numā.ī sirf un ke lab pe hai
jo tirī mahfil meñ apnī kam-nigāhī le ga.e
tum haram se le ga.e shab kī siyāhī aur ham
mai-kade se bhī ziyā-e-sub.h-gāhī le ga.e
maiñ idhar 'aḳhlāq' kī taqsīm meñ masrūf thā
log udhar merī adā-e-kaj-kulāhī le ga.e