falak se chāñd chaman se gulāb le aa.e
kahāñ se koī tumhārā javāb le aa.e
hazār rañg haiñ husn-o-jamāl ke lekin
vo rañg aur hai jis ko shabāb le aa.e
ajiib turfa-tamāshā hai zindagī merī
ḳhushī bhī aa.e to ġham be-hisāb le aa.e
tire ḳhamīr meñ shāmil hai gumrahī varna
falak se kitne payambar kitāb le aa.e
idhar vo tishna-labī hai ki jāñ-ba-lab haiñ ham
udhar vo dast-e-karam par sarāb le aa.e
usī kī aaj bhī rahtī haiñ muntazir āñkheñ
jo aa bhī jaa.e to sad iztirāb le aa.e
ye sher-goī hai 'aḳhlāq' koī khel nahīñ
kare vo mashq jo chhalnī meñ aab le aa.e