Akhlaque Bandvi

justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

Akhlaque Bandvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1964
justujū ne tirī har chand thakā rakkhā hai
phir bhī kyā ġham ki isī meñ to maza rakkhā hai
kuchh to apnī bhī tabī.at hai gurezāñ un se
kuchh mizāj un kā bhī bar-dosh-e-havā rakkhā hai
kyā tujhe ilm nahīñ terī razā kī ḳhātir
maiñ ne kis kis ko zamāne meñ ḳhafā rakkhā hai
jab nazar uTThī ruḳh-e-yār pe jā kar Thahrī
jaise āñkhoñ meñ koī qibla-numā rakkhā hai
kaun huuñ kyā huuñ kahāñ huuñ mujhe mālūm nahīñ
zindagī tū ne ye kis moḌ pe lā rakkhā hai
naam kā aks bhī ā.īna-e-kirdār meñ rakh
naam 'aḳhlāq' sahī naam meñ kyā rakkhā hai
Top Urdushayar.com