Akhlaque Bandvi

kabhi jo aankhon mein pal-bhar ko KHwab jagte hain

Akhlaque Bandvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1964
kabhī jo āñkhoñ meñ pal-bhar ko ḳhvāb jāgte haiñ
to phir mahīnoñ musalsal azaab jāgte haiñ
kisī ke lams kī tāsīr hai ki barsoñ ba.ad
mirī kitāboñ meñ ab bhī gulāb jāgte haiñ
burā.ī kuchh to yaqīnan hai be-hijābī meñ
magar vo fitne jo zer-e-naqāb jāgte haiñ
sitam-shi.āroñ hamārā tum imtihān na lo
hamāre sabr se sad inqalāb jāgte haiñ
hameñ ḳhud apnī samā.at pe sharam aatī hai
ki mimbaroñ se ab aise ḳhitāb jāgte haiñ
ye niiñd letī hai 'aḳhlāq' vo ḳhirāj ki bas
jo ḳhuub sote haiñ ho kar ḳharāb jāgte haiñ
Top Urdushayar.com